tarana-e-gham-e-pinhan hai har KHushi apni
tarāna-e-ġham-e-pinhāñ hai har ḳhushī apnī
ki ek dard-e-musalsal hai zindagī apnī
bahal na jaa.e kahīñ ye dil-e-ḳhizāñ-mānūs
bahār aa ke dikhātī hai dilkashī apnī
kisī ke chehra-e-zebā se us ko kyā nisbat
yūñhī bikherā kare chāñd chāñdnī apnī
shu.ūr-e-chāk-e-garebāñ kidhar hai dāman-e-yār
junūñ kī had se milī jā ke āshiqī apnī
batā ki ye bhī koī shān-e-be-niyāzī hai
sunī na haa.e koī tū ne guftanī apnī
tarana-e-gham-e-pinhan hai har KHushi apni
ki ek dard-e-musalsal hai zindagi apni
bahal na jae kahin ye dil-e-KHizan-manus
bahaar aa ke dikhati hai dilkashi apni
kisi ke chehra-e-zeba se us ko kya nisbat
yunhi bikhera kare chand chandni apni
shuur-e-chaak-e-gareban kidhar hai daman-e-yar
junun ki had se mili ja ke aashiqi apni
bata ki ye bhi koi shan-e-be-niyazi hai
suni na hae koi tu ne guftani apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.