tarah tarah ke fasane sunane lagti hai
tarah tarah ke fasane sunane lagti hai
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
tarah tarah ke fasāne sunāne lagtī hai
uḌuuñ to merī zamīñ chhaTpaTāne lagtī hai
ġhurūr-e-nasl hai yak-laḳht to na jā.egā
ki lagte lagte ye daulat Thikāne lagtī hai
na jaane kaisī havā hai ki raat hote hī
badan meñ aa ke mire ḳhaak uḌāne lagtī hai
maiñ apnī pyaas pe jab sabr bāñdh detā huuñ
to jo nadī bhī mile āzmāne lagtī hai
jahāñ jahāñ bhī maiñ us se gurez kartā huuñ
vahīñ vahīñ se vo āvāz aane lagtī hai
ḳhayāl tak bhī agar us kā naam aa jaa.e
vo haath chupke se merā dabāne lagtī hai
vo ek ḳhushbū hai aatī nahīñ nazar lekin
qarīb aate hī ḳhud ko batāne lagtī hai
tarah tarah ke fasane sunane lagti hai
uDun to meri zamin chhaTpaTane lagti hai
ghurur-e-nasl hai yak-laKHt to na jaega
ki lagte lagte ye daulat Thikane lagti hai
na jaane kaisi hawa hai ki raat hote hi
badan mein aa ke mere KHak uDane lagti hai
main apni pyas pe jab sabr bandh deta hun
to jo nadi bhi mile aazmane lagti hai
jahan jahan bhi main us se gurez karta hun
wahin wahin se wo aawaz aane lagti hai
KHayal tak bhi agar us ka nam aa jae
wo hath chupke se mera dabane lagti hai
wo ek KHushbu hai aati nahin nazar lekin
qarib aate hi KHud ko batane lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.