taraqqi aur raftar-e-zamana
taraqqī aur raftār-e-zamāna
hasīñ unvān huzn-āgīñ fasāna
jo badle nit nayā ek āstāna
bhalā aisī jabīñ kā kyā Thikānā
tire fikr-o-amal sab shā.irāna
na badlā tū ye badle kyoñ zamāna
qadam ishq-o-junūñ ke fātehāna
ḳhirad kī chaal sab hiila bahāna
mubārak us kā azm-e-muslihāna
ḳhafā hoñ jis se abnā-e-zamāna
ḳhumār-e-sub.h kyā kaif-e-shabāna
mujhe baḳhshā surūr-e-jāvedāna
vo aañsū jo karam ko jazb kar leñ
vahī hai mere dāman kā ḳhazāna
tumheñ zauq-e-hadīs-e-dil-barāna
ġhazal 'ārif' kī fikr-e-ārifāna
taraqqi aur raftar-e-zamana
hasin unwan huzn-agin fasana
jo badle nit naya ek aastana
bhala aisi jabin ka kya Thikana
tere fikr-o-amal sab shairana
na badla tu ye badle kyon zamana
qadam ishq-o-junun ke fatehana
KHirad ki chaal sab hila bahana
mubarak us ka azm-e-muslihana
KHafa hon jis se abna-e-zamana
KHumar-e-subh kya kaif-e-shabana
mujhe baKHsha surur-e-jawedana
wo aansu jo karam ko jazb kar len
wahi hai mere daman ka KHazana
tumhein zauq-e-hadis-e-dil-barana
ghazal 'arif' ki fikr-e-arifana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.