tariq-e-girya ab is se behtar nahin milega
tarīq-e-girya ab is se behtar nahīñ milegā
ki ek aañsū bhī koī bāhar nahīñ milegā
ye shahr bhedoñ bharā yahāñ aadmī mileñge
magar kisī ke bhī dosh par sar nahīñ milegā
milegā daftar to chhūT jā.egā ghar kahīñ par
jo ghar malegā kahīñ to daftar nahīñ milegā
zamīñ pe pakkī imārateñ ug rahī haiñ aise
divāne sar phoḌne ko patthar nahīñ malegā
chhalaktī āñkhoñ harī-bharī muskurāhaToñ bin
mileñge dīvār-o-dar yahāñ ghar nahīñ milegā
milegī duniyā miloge tum sab mileñge lekin
hamārā vo gum-shuda muqaddar nahīñ milegā
tariq-e-girya ab is se behtar nahin milega
ki ek aansu bhi koi bahar nahin milega
ye shahr bhedon bhara yahan aadmi milenge
magar kisi ke bhi dosh par sar nahin milega
milega daftar to chhuT jaega ghar kahin par
jo ghar malega kahin to daftar nahin milega
zamin pe pakki imaraten ug rahi hain aise
diwane sar phoDne ko patthar nahin malega
chhalakti aankhon hari-bhari muskurahaTon bin
milenge diwar-o-dar yahan ghar nahin milega
milegi duniya miloge tum sab milenge lekin
hamara wo gum-shuda muqaddar nahin milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.