tark-e-wafa ki baat kahen kya
tark-e-vafā kī baat kaheñ kyā
dil meñ ho to lab tak aa.e
dil bechāra sīdhā saadā
ḳhud rūThe ḳhud maan bhī jaa.e
chalte rahiye manzil manzil
is āñchal ke saa.e saa.e
duur nahīñ thā shahr-e-tamannā
aap hī mere saath na aa.e
aaj kā din bhī yaad rahegā
aaj vo mujh ko yaad na aa.e
tark-e-wafa ki baat kahen kya
dil mein ho to lab tak aae
dil bechaara sidha sada
KHud ruThe KHud man bhi jae
chalte rahiye manzil manzil
is aanchal ke sae sae
dur nahin tha shahr-e-tamanna
aap hi mere sath na aae
aaj ka din bhi yaad rahega
aaj wo mujh ko yaad na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.