tasalsul se guman likkha gaya hai
tasalsul se gumāñ likkhā gayā hai
yaqīñ to nā-gahāñ likkhā gayā hai
mukammal ho chukī qir.at fazā kī
parinde aur dhuāñ likkhā gayā hai
mirā do pal Thahar kar saañs lenā
sar-e-āb-e-ravāñ likkhā gayā hai
ugā.egī sitāre ab ye miTTī
zamīñ par āsmāñ likkhā gayā hai
kitāb-e-ġhaib paḌhtā jā rahā huuñ
mirā honā kahāñ likkhā gayā hai
nahīñ likkhā gayā kāġhaz pe kuchh bhī
faqat ā.indagāñ likkhā gayā hai
tasalsul se guman likkha gaya hai
yaqin to na-gahan likkha gaya hai
mukammal ho chuki qirat faza ki
parinde aur dhuan likkha gaya hai
mera do pal Thahar kar sans lena
sar-e-ab-e-rawan likkha gaya hai
ugaegi sitare ab ye miTTi
zamin par aasman likkha gaya hai
kitab-e-ghaib paDhta ja raha hun
mera hona kahan likkha gaya hai
nahin likkha gaya kaghaz pe kuchh bhi
faqat aaindagan likkha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.