tasavvur ham ne jab terā kiyā pesh-e-nazar paayā
tujhe dekhā jidhar dekhā tujhe paayā jidhar paayā
kahāñ ham ne na is dard-e-nihānī kā asar paayā
yahāñ uTThā vahāñ chamkā idhar aayā udhar paayā
patā us ne diyā terā milā jo 'ishq meñ ḳhud gum
ḳhabar terī usī se paa.ī jis ko be-ḳhabar paayā
dil-e-betāb ke pahlū se jaate hī gayā sab kuchh
na pā.īñ siine meñ aa.heñ na aahoñ meñ asar paayā
vo chashm-e-muntazir thī jis ko dekhā aa ke vā tum ne
vo naala thā hamārā jis ko sote raat bhar paayā
maiñ huuñ vo nā-tavāñ pinhāñ rahā ḳhud aañkh se apnī
hamesha aap ko gum sūrat-e-tār-e-nazar paayā
habīb apnā agar dekhā to dāġh-e-'ishq ko dekhā
tabīb apnā agar paayā to ik dard-e-jigar paayā
kiyā gum ham ne dil ko justujū meñ dāġh-e-hasrat kī
kisī ko pā ke kho baiThe kisī ko DhūñDh kar paayā
bahut se ashk-e-rañgīñ ai 'jalāl' is aañkh se Tapke
magar be-rang hī dekhā na kuchh rañg-e-asar paayā
tasawwur hum ne jab tera kiya pesh-e-nazar paya
tujhe dekha jidhar dekha tujhe paya jidhar paya
kahan hum ne na is dard-e-nihani ka asar paya
yahan uTTha wahan chamka idhar aaya udhar paya
pata us ne diya tera mila jo 'ishq mein KHud gum
KHabar teri usi se pai jis ko be-KHabar paya
dil-e-betab ke pahlu se jate hi gaya sab kuchh
na pain sine mein aahen na aahon mein asar paya
wo chashm-e-muntazir thi jis ko dekha aa ke wa tum ne
wo nala tha hamara jis ko sote raat bhar paya
main hun wo na-tawan pinhan raha KHud aankh se apni
hamesha aap ko gum surat-e-tar-e-nazar paya
habib apna agar dekha to dagh-e-'ishq ko dekha
tabib apna agar paya to ek dard-e-jigar paya
kiya gum hum ne dil ko justuju mein dagh-e-hasrat ki
kisi ko pa ke kho baiThe kisi ko DhunDh kar paya
bahut se ashk-e-rangin ai 'jalal' is aankh se Tapke
magar be-rang hi dekha na kuchh rang-e-asar paya
Source :
- Book : Intekhab-e-kalam Miir Zamin Ali Jalal (Pg. 16)
- Author : Sayed Sikandar aaga
-
Publication : Uttarpradesh, Urdu academy, Lucknow
(1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.