tasawwur mein hamare bhi kisi ka husn palta hai
tasawwur mein hamare bhi kisi ka husn palta hai
Uddhav Mahajan Bismil
MORE BYUddhav Mahajan Bismil
tasavvur meñ hamāre bhī kisī kā husn paltā hai
taġhazzul kā charāġh is vāste āñkhoñ meñ jaltā hai
hamāre dil meñ uThtī haiñ havā.eñ dard kī jis dam
hamāre dil meñ taḳhlīqāt kā tūfāñ machaltā hai
zamāna hai na jaane kab ye ruḳh apnā badal Daale
havā par iḳhtiyār āḳhir kahāñ insāñ kā chaltā hai
fasīloñ meñ muqayyad hai hamārī zindagī lekin
parinde kī tarah parvāz ko ye dil machaltā hai
maiñ Takrātā huuñ tūfāñ se isī īmān par 'bismil'
mire har azm-e-rāsiḳh se havā kā ruḳh badaltā hai
tasawwur mein hamare bhi kisi ka husn palta hai
taghazzul ka charagh is waste aankhon mein jalta hai
hamare dil mein uThti hain hawaen dard ki jis dam
hamare dil mein taKHliqat ka tufan machalta hai
zamana hai na jaane kab ye ruKH apna badal Dale
hawa par iKHtiyar aaKHir kahan insan ka chalta hai
fasilon mein muqayyad hai hamari zindagi lekin
parinde ki tarah parwaz ko ye dil machalta hai
main Takraata hun tufan se isi iman par 'bismil'
mere har azm-e-rasiKH se hawa ka ruKH badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.