tasawwur mein mere kaba na ab but-KHana aata hai
tasavvur meñ mire ka.aba na ab but-ḳhāna aatā hai
nazar har samt mujh ko jalva-e-jānāna aatā hai
huā huuñ aisā be-ḳhud ik but-e-kāfir kī ulfat meñ
ki ka.abe meñ bhī ab mujh ko nazar but-ḳhāna aatā hai
haqīqat meñ numūd-e-husn hī hai ishq kā baa.is
numā.ish husn kī hotī hai jab parvāna aatā hai
ye duniyā-e-mohabbat bhī ilāhī kaisī bastī hai
jo aatā hai yahāñ vo hosh se begāna aatā hai
garebāñ chaak dāman purza purza ḳhāk-ālūda
na.ī saj-dhaj nirālī shaan se dīvāna aatā hai
shab-e-ġham maut aatī hai na vo aate haiñ ai 'fāzil'
laboñ par dam nikal jaane ko betābāna aatā hai
tasawwur mein mere kaba na ab but-KHana aata hai
nazar har samt mujh ko jalwa-e-jaanana aata hai
hua hun aisa be-KHud ek but-e-kafir ki ulfat mein
ki kabe mein bhi ab mujh ko nazar but-KHana aata hai
haqiqat mein numud-e-husn hi hai ishq ka bais
numaish husn ki hoti hai jab parwana aata hai
ye duniya-e-mohabbat bhi ilahi kaisi basti hai
jo aata hai yahan wo hosh se begana aata hai
gareban chaak daman purza purza KHak-aluda
nai saj-dhaj nirali shan se diwana aata hai
shab-e-gham maut aati hai na wo aate hain ai 'fazil'
labon par dam nikal jaane ko betabana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.