apna jamal mujh kun dikhaya rasul aaj
apnā jamāl mujh kuuñ dikhāyā rasūl aaj
aajiz kī iltimās kuuñ karnā qubūl aaj
ai mehrbāñ tabīb shitābī ilaaj kar
tere birah ke dard siiñ hai dil meñ suul aaj
marham tire visāl kā lāzim hai ai sanam
dil meñ lagī hai hijr kī barchhī kī huul aaj
gul-rū baġhair ḳhāna-e-bulbul ḳharāb hai
murjhā rahā hai sehn-e-gulistāñ meñ phuul aaj
be-fikr huuñ azāb-e-qayāmat siiñ ai 'sirāj'
dīn-e-mohammadī kuuñ kyā huuñ qubūl aaj
apna jamal mujh kun dikhaya rasul aaj
aajiz ki iltimas kun karna qubul aaj
ai mehrban tabib shitabi ilaj kar
tere birah ke dard sin hai dil mein sul aaj
marham tere visal ka lazim hai ai sanam
dil mein lagi hai hijr ki barchhi ki hul aaj
gul-ru baghair KHana-e-bulbul KHarab hai
murjha raha hai sehn-e-gulistan mein phul aaj
be-fikr hun azab-e-qayamat sin ai 'siraj'
din-e-mohammadi kun kya hun qubul aaj
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 376)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.