do-rangi KHub nain yak-rang ho ja
do-rañgī ḳhuub na.iiñ yak-rañg ho jā
sarāpā mom ho yā sañg ho jā
tujhe jyuuñ ġhuncha gar hai dard kī bū
lahū kā ghūñT pī dil-tañg ho jā
kahā kis tarah dil ne tujh kuuñ ai ġham
ki dil kī aarsī par zañg ho jā
yahī aahoñ ke tāroñ meñ sadā hai
ki bār-e-ġham siiñ ḳham jyuuñ chañg ho jā
duā hai ai rah-e-ġham tūl-e-umr kā
qadam par hai to sau farsañg ho jā
gale meñ Daal rusvā.ī kī alfī
alif khiñch aah kā be-nañg ho jā
birah kī aag meñ sābit-qadam chal
'sirāj' ab sham.a kā ham-rañg ho jā
do-rangi KHub nain yak-rang ho ja
sarapa mom ho ya sang ho ja
tujhe jyun ghuncha gar hai dard ki bu
lahu ka ghunT pi dil-tang ho ja
kaha kis tarah dil ne tujh kun ai gham
ki dil ki aarsi par zang ho ja
yahi aahon ke taron mein sada hai
ki bar-e-gham sin KHam jyun chang ho ja
dua hai ai rah-e-gham tul-e-umr ka
qadam par hai to sau farsang ho ja
gale mein Dal ruswai ki alfi
alif khinch aah ka be-nang ho ja
birah ki aag mein sabit-qadam chal
'siraj' ab shama ka ham-rang ho ja
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 342)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.