har taraf yar ka tamasha hai
har taraf yaar kā tamāshā hai
us ke dīdār kā tamāshā hai
ishq aur aql meñ huī hai shart
jiit aur haar kā tamāshā hai
ḳhalvat-e-intizār meñ us kī
dar-o-dīvār kā tamāshā hai
sīna-e-dāġh daaġh meñ mere
sahn-e-gulzār kā tamāshā hai
hai shikār-e-kamand-e-ishq 'sirāj'
is gale haar kā tamāshā hai
har taraf yar ka tamasha hai
us ke didar ka tamasha hai
ishq aur aql mein hui hai shart
jit aur haar ka tamasha hai
KHalwat-e-intizar mein us ki
dar-o-diwar ka tamasha hai
sina-e-dagh dagh mein mere
sahn-e-gulzar ka tamasha hai
hai shikar-e-kamand-e-ishq 'siraj'
is gale haar ka tamasha hai
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 591)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.