kabe ka shauq hai na sanam-KHana chahiye
ka.abe kā shauq hai na sanam-ḳhāna chāhiye
jānāna chāhiye dar-e-jānāna chāhiye
sāġhar kī aarzū hai na paimāna chāhiye
bas ik nigāh-e-murshid-e-mai-ḳhāna chāhiye
hāzir haiñ mere jaib-o-garebāñ kī dhajjiyāñ
ab aur kyā tujhe dil-e-dīvāna chāhiye
āshiq na ho to husn kā ghar be-charāġh hai
lailā ko qais sham.a ko parvāna chāhiye
parvarda-e-karam se to zebā nahīñ hijāb
mujh ḳhāna-zād-e-husn se pardā na chāhiye
shikva hai kufr ahl-e-mohabbat ke vāste
har ik jafā-e-dost pe shukrāna chāhiye
bāda-kashoñ ko dete haiñ sāġhar ye pūchh kar
kis ko zakāt-e-nargis-e-mastāna chāhiye
'bedam' namāz-e-ishq yahī hai ḳhudā-gavāh
har dam tasavvur-e-ruḳh-e-jānāna chāhiye
kabe ka shauq hai na sanam-KHana chahiye
jaanana chahiye dar-e-jaanana chahiye
saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
bas ek nigah-e-murshid-e-mai-KHana chahiye
hazir hain mere jaib-o-gareban ki dhajjiyan
ab aur kya tujhe dil-e-diwana chahiye
aashiq na ho to husn ka ghar be-charagh hai
laila ko qais shama ko parwana chahiye
parwarda-e-karam se to zeba nahin hijab
mujh KHana-zad-e-husn se parda na chahiye
shikwa hai kufr ahl-e-mohabbat ke waste
har ek jafa-e-dost pe shukrana chahiye
baada-kashon ko dete hain saghar ye puchh kar
kis ko zakat-e-nargis-e-mastana chahiye
'bedam' namaz-e-ishq yahi hai KHuda-gawah
har dam tasawwur-e-ruKH-e-jaanana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.