main yar ka jalwa hun
maiñ yaar kā jalvā huuñ
yā dīda-e-mūsā huuñ
qatra huuñ na dariyā huuñ
bastī huuñ na sahrā huuñ
jiinā mirā marnā hai
marne ko tarastā huuñ
apnī hī umīdoñ kā
bigḌā huā naqshā huuñ
armānoñ kā gahvārā
hasrat kā janāzā huuñ
is ālam-e-hastī meñ
yuuñ huuñ ki maiñ goyā huuñ
zinda huuñ magar bedam
ik turfa-tamāshā huuñ
main yar ka jalwa hun
ya dida-e-musa hun
qatra hun na dariya hun
basti hun na sahra hun
jina mera marna hai
marne ko tarasta hun
apni hi umidon ka
bigDa hua naqsha hun
armanon ka gahwara
hasrat ka janaza hun
is aalam-e-hasti mein
yun hun ki main goya hun
zinda hun magar bedam
ek turfa-tamasha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.