Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh

Bedam Shah Warsi

mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh

Bedam Shah Warsi

meñ ġhash meñ huuñ mujhe itnā nahīñ hosh

tasavvur hai tirā ham-āġhosh

jo nāloñ kabhī vahshat ne Thānī

pukārā zabt bas ḳhāmosh ḳhāmosh

kise ho imtiyāz-e-jalva-e-yār

hameñ to aap apnā nahīñ hosh

uThā rakkhā hai ik tūfān ne

are qatre tirā allāh-re josh

maiñ aisī yaad ke qurbān jā.ūñ

kiyā jis ne do-ālam ko farāmosh

hai begānoñ se ḳhālī ḳhalvat-e-rāz

chale jaa.eñ na ab aa.eñ mire hosh

karo rindo gunāh-e-mai-parastī

ki saaqī hai atā-pāsh o ḳhatā-posh

tire jalve ko muusā dekhte kyā

naqāb uThne se pahle uḌ ga.e hosh

karam bhī us mujh par hai sitam bhī

ki pahlū meñ hai zālim aur rū-posh

piyo to ḳhum ke ḳhum jaao 'bedam'

are mai-nosh ho tum balā-nosh

mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh

tasawwur hai tera ya tu ham-aghosh

jo nalon ki kabhi wahshat ne Thani

pukara zabt bas KHamosh KHamosh

kise ho imtiyaz-e-jalwa-e-yar

hamein to aap hi apna nahin hosh

uTha rakkha hai ek tufan tu ne

are qatre tera allah-re josh

main aisi yaad ke qurban jaun

kiya jis ne do-alam ko faramosh

hai beganon se KHali KHalwat-e-raaz

chale jaen na ab aaen mere hosh

karo rindo gunah-e-mai-parasti

ki saqi hai ata-pash o KHata-posh

tere jalwe ko musa dekhte kya

naqab uThne se pahle uD gae hosh

karam bhi us ka mujh par hai sitam bhi

ki pahlu mein hai zalim aur ru-posh

piyo to KHum ke KHum pi jao 'bedam'

are mai-nosh ho tum ya bala-nosh

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now