aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh ke dekho ai aarifan tum kiya hai haq ne ye bhed kaisa

Alimullah

samajh ke dekho ai aarifan tum kiya hai haq ne ye bhed kaisa

Alimullah

MORE BYAlimullah

    samajh ke dekho ai ārifāñ tum kiyā hai haq ne ye bhed kaisā

    ape hai avval ape hai āḳhir ape che maḳhfī ape che paidā

    ape kahā kun ape che fayakūñ ape hai sān.e.a ape hai san.at

    ape ahad aur ape che ahmad ape hai aadam ape hai havvā

    ape hai matlab ape hai tālib ape hai dilkash ape hai āshiq

    ape che majnūñ ape che laila ape hai yūsuf ape zuleḳhā

    ape che kahtā ape che suntā ape hai daanā ape hai biinā

    ape che qaa.im rahe hamesha ape che qādir ape tavānā

    'alīm' mat kah ye rāz-e-maḳhfī piyā ulfat meñ rah sadā

    agar sune is suḳhan ko ġhāfil gaḌhegā us par kaThin muammā

    samajh ke dekho ai aarifan tum kiya hai haq ne ye bhed kaisa

    ape hai awwal ape hai aaKHir ape che maKHfi ape che paida

    ape kaha kun ape che fayakun ape hai sanea ape hai sanat

    ape ahad aur ape che ahmad ape hai aadam ape hai hawwa

    ape hai matlab ape hai talib ape hai dilkash ape hai aashiq

    ape che majnun ape che laila ape hai yusuf ape zuleKHa

    ape che kahta ape che sunta ape hai dana ape hai bina

    ape che qaim rahe hamesha ape che qadir ape tawana

    'alim' mat kah ye raaz-e-maKHfi piya ki ulfat mein rah sada tu

    agar sune is suKHan ko ghafil gaDhega us par kaThin muamma

    Source:

    Deewan-e-Alimullah(Gazaliyat-e-Miskeen Shah) (Pg. 16)

    • Author: Alimullah, Miskeen Shah
      • Publisher: Matba Kareemi Press, Mumbai
      • Year of Publication: 1920

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now