tujhi ko jo yan jalwa-farma na dekha
tujhī ko jo yaañ jalva-farmā na dekhā
barābar hai duniyā ko dekhā na dekhā
mirā ġhuncha-e-dil hai vo dil girafta
ki jis ko kisū ne kabhū vā na dekhā
yagāna hai tū aah begānagī meñ
koī dūsrā aur aisā na dekhā
aziyyat musībat malāmat balā.eñ
tire ishq meñ ham ne kyā kyā na dekhā
kiyā muj ko dāġhoñ ne sarv-e-charāġhāñ
kabhū tū ne aa kar tamāshā na dekhā
taġhāful ne tere ye kuchh din dikhā.e
idhar tū ne lekin na dekhā na dekhā
hijāb-e-ruḳh-e-yār the aap hī ham
khulī aañkh jab koī pardā na dekhā
shab o roz ai 'dard' dar pe huuñ us ke
kisū ne jise yaañ na samjhā na dekhā
tujhi ko jo yan jalwa-farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha
mera ghuncha-e-dil hai wo dil girafta
ki jis ko kisu ne kabhu wa na dekha
yagana hai tu aah beganagi mein
koi dusra aur aisa na dekha
aziyyat musibat malamat balaen
tere ishq mein hum ne kya kya na dekha
kiya muj ko daghon ne sarw-e-charaghan
kabhu tu ne aa kar tamasha na dekha
taghaful ne tere ye kuchh din dikhae
idhar tu ne lekin na dekha na dekha
hijab-e-ruKH-e-yar the aap hi hum
khuli aankh jab koi parda na dekha
shab o roz ai 'dard' dar pe hun us ke
kisu ne jise yan na samjha na dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.