Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo chup-chap aansu bahane ki raaten

Firaq Gorakhpuri

wo chup-chap aansu bahane ki raaten

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    vo chup-chāp aañsū bahāne rāteñ

    vo ik shaḳhs ke yaad aane rāteñ

    shab-e-mah vo ThanDī āñcheñ vo shabnam

    tire husn ke rasmasāne rāteñ

    javānī doshīzgī tabassum

    gul-e-zār ke vo khilāne rāteñ

    phuvāreñ naġhmoñ paḌtī hoñ jaise

    kuchh us lab ke sunñe-sunāne rāteñ

    mujhe yaad hai terī har sub.h-e-ruḳhsat

    mujhe yaad haiñ tere aane rāteñ

    pur-asrār merī arz-e-tamannā

    vo kuchh zer-e-lab muskurāne rāteñ

    sar-e-shām se ratjagā ke vo sāmāñ

    vo pichhle pahar niiñd aane rāteñ

    sar-e-shām se tā-sahar qurb-e-jānāñ

    na jaane vo thiiñ kis zamāne rāteñ

    sar-e-mai-kada tishnagī vo qasmeñ

    vo saaqī se bāteñ banāne rāteñ

    ham-āġhoshiyāñ shāhid-e-mehrbāñ

    zamāne ke ġham bhuul jaane rāteñ

    'firāq' apnī qismat meñ shāyad nahīñ the

    Thikāne ke din Thikāne rāteñ

    wo chup-chap aansu bahane ki raaten

    wo ek shaKHs ke yaad aane ki raaten

    shab-e-mah ki wo ThanDi aanchen wo shabnam

    tere husn ke rasmasane ki raaten

    jawani ki doshizgi ka tabassum

    gul-e-zar ke wo khilane ki raaten

    phuwaren si naghmon ki paDti hon jaise

    kuchh us lab ke sunne-sunane ki raaten

    mujhe yaad hai teri har subh-e-ruKHsat

    mujhe yaad hain tere aane ki raaten

    pur-asrar si meri arz-e-tamanna

    wo kuchh zer-e-lab muskurane ki raaten

    sar-e-sham se ratjaga ke wo saman

    wo pichhle pahar nind aane ki raaten

    sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-jaanan

    na jaane wo thin kis zamane ki raaten

    sar-e-mai-kada tishnagi ki wo qasmen

    wo saqi se baaten banane ki raaten

    ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki

    zamane ke gham bhul jaane ki raaten

    'firaq' apni qismat mein shayad nahin the

    Thikane ke din ya Thikane ki raaten

    Source :
    • Book : Gul-e-Naghma (Pg. 57)
    • Author : Firaq Gorakhpuri
    • Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
    • Edition : 2006

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now