tasKHir sab nujum-o-mah-o-kahkashan hue
tasḳhīr sab nujūm-o-mah-o-kahkashāñ hue
mujh ko thā vo junūñ ki nigūñ do-jahāñ hue
maiñ ziist ke safar meñ akelī jo chal paḌī
azm-o-junūñ-o-shauq mire kārvāñ hue
dariyā to ek pal meñ samundar se jā milā
aañsū ThiThak ke aañkh meñ ik dāstāñ hue
nashshe meñ taḳht-o-tāj ke kal tak jo chuur the
sach hai lahad meñ aaj vahī be-nishāñ hue
jin pe ba-sad-niyāz jhukā dī thī ye jabīñ
'resham' nuqūsh-e-pā vo mire āstāñ hue
tasKHir sab nujum-o-mah-o-kahkashan hue
mujh ko tha wo junun ki nigun do-jahan hue
main zist ke safar mein akeli jo chal paDi
azm-o-junun-o-shauq mere karwan hue
dariya to ek pal mein samundar se ja mila
aansu ThiThak ke aankh mein ek dastan hue
nashshe mein taKHt-o-taj ke kal tak jo chur the
sach hai lahad mein aaj wahi be-nishan hue
jin pe ba-sad-niyaz jhuka di thi ye jabin
'resham' nuqush-e-pa wo mere aastan hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.