taskin-e-iztirab-e-tamanna na kijiye
taskīn-e-iztirāb-e-tamannā na kījiye
mujh se judā abhī mirī duniyā na kījiye
dīvāna-e-fareb-e-tamannā na kījiye
merī taraf se mujh ko pukārā na kījiye
kuchh duur chalne dījiye ab ḳhud hī ishq ko
har har qadam pe aap ishārā na kījiye
dil ke sivā tamām kitāb-e-hayāt meñ
ik lafz bhī nahīñ jise afsāna kījiye
uThte haiñ jab junūñ meñ garebāñ kī samt haath
kahtā hai koī jaise ki rusvā na kījiye
dil to taḌap uThegā jo mujh ko ḳhabar na ho
chhup kar mere qarīb se guzrā na kījiye
'shādāñ' thame hamāre to aañsū na aaj tak
jab se vo kah ga.e haiñ ki royā na kījiye
taskin-e-iztirab-e-tamanna na kijiye
mujh se juda abhi meri duniya na kijiye
diwana-e-fareb-e-tamanna na kijiye
meri taraf se mujh ko pukara na kijiye
kuchh dur chalne dijiye ab KHud hi ishq ko
har har qadam pe aap ishaara na kijiye
dil ke siwa tamam kitab-e-hayat mein
ek lafz bhi nahin jise afsana kijiye
uThte hain jab junun mein gareban ki samt hath
kahta hai koi jaise ki ruswa na kijiye
dil to taDap uThega jo mujh ko KHabar na ho
chhup kar mere qarib se guzra na kijiye
'shadan' thame hamare to aansu na aaj tak
jab se wo kah gae hain ki roya na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.