taswir ka har rang nazar mein hai
tasvīr kā har rañg nazar meñ hai
kyā baat tire dast-e-hunar meñ hai
sonā sā pighaltā hai rag o pai meñ
ḳhurshīd-e-havas kāsa-e-sar meñ hai
niklā huuñ to kyā raḳht-e-safar bāñdhūñ
jo kuchh hai vo sab rāhguzar meñ hai
ik raat hai phailī huī sadiyoñ par
har lamha añdheroñ ke asar meñ hai
paanī hai sarāboñ se virāsat meñ
vo ḳhaak jo dāmān-e-nazar meñ hai
peshāni-e-ā.īna pe ho zāhir
jo zaḳhm dil-e-ā.īna-gar meñ hai
kyā mahkeñ tamannāoñ ke gul buuTe
vīrānī-e-sahrā mire ghar meñ hai
taswir ka har rang nazar mein hai
kya baat tere dast-e-hunar mein hai
sona sa pighalta hai rag o pai mein
KHurshid-e-hawas kasa-e-sar mein hai
nikla hun to kya raKHt-e-safar bandhun
jo kuchh hai wo sab rahguzar mein hai
ek raat hai phaili hui sadiyon par
har lamha andheron ke asar mein hai
pani hai sarabon se wirasat mein
wo KHak jo daman-e-nazar mein hai
peshani-e-aina pe ho zahir
jo zaKHm dil-e-aina-gar mein hai
kya mahken tamannaon ke gul buTe
virani-e-sahra mere ghar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.