taswir se kabhi to kabhi KHud se baat ki
tasvīr se kabhī to kabhī ḳhud se baat kī
tujh se bichhaḌ ke maiñ ne yūñhī din se raat kī
ab tak tamām dard-o-alam mil chuke mujhe
ab mujh pe intihā hai tire iltifāt kī
jab muskurā.egā to jahāñ muskurā.egā
taqdīr ban chukā hai koī kā.enāt kī
ye aur baat maiñ hī unheñ dekhtā rahā
vo sāmne bhī aa.e to kab mujh se baat kī
bas jaan lo vahīñ se rah-e-dost aa ga.ī
jab ibtidā ho silsila-e-hādsāt kī
ġham se najāt mujh ko mile kis tarah 'zuhūr'
kuchh fikr bhī to chāhiye rāh-e-najāt kī
taswir se kabhi to kabhi KHud se baat ki
tujh se bichhaD ke main ne yunhi din se raat ki
ab tak tamam dard-o-alam mil chuke mujhe
ab mujh pe intiha hai tere iltifat ki
jab muskuraega to jahan muskuraega
taqdir ban chuka hai koi kaenat ki
ye aur baat main hi unhen dekhta raha
wo samne bhi aae to kab mujh se baat ki
bas jaan lo wahin se rah-e-dost aa gai
jab ibtida ho silsila-e-hadsat ki
gham se najat mujh ko mile kis tarah 'zuhur'
kuchh fikr bhi to chahiye rah-e-najat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.