tauhid dil mein ho to labon par rahe KHuda
tauhīd dil meñ ho to laboñ par rahe ḳhudā
ham yuuñ jiye to kyā jiye be-dīn be-ḳhudā
lo yuuñ to ho ga.ī hai bahut kam zamīr kī
is āḳhirī charāġh ko bujhne na de ḳhudā
to rāh-e-rāst apne karam se dikhā mujhe
raste ġhalat hazār haiñ duniyā meñ ai ḳhudā
tālib haiñ bartarī ke magar haiñ amal se duur
ham ko jo kaam karnā hai vo kyuuñ kare ḳhudā
gar zāniyoñ ko miltī nahīñ hai sazā yahāñ
havvā kī beTiyoñ se kashish chhīn le ḳhudā
ab to sukūn baḳhsh ki 'at.har-shakīl' ne
is umr-e-muḳhtasar meñ bahut dukh sahe ḳhudā
tauhid dil mein ho to labon par rahe KHuda
hum yun jiye to kya jiye be-din be-KHuda
lo yun to ho gai hai bahut kam zamir ki
is aaKHiri charagh ko bujhne na de KHuda
to rah-e-rast apne karam se dikha mujhe
raste ghalat hazar hain duniya mein ai KHuda
talib hain bartari ke magar hain amal se dur
hum ko jo kaam karna hai wo kyun kare KHuda
gar zaniyon ko milti nahin hai saza yahan
hawwa ki beTiyon se kashish chhin le KHuda
ab to sukun baKHsh ki 'athar-shakil' ne
is umr-e-muKHtasar mein bahut dukh sahe KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.