tawazun ko khoti hai har zat pi ke
tavāzun ko khotī hai har zaat pī ke
vo ghūñsa chale yā chale laat pī ke
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ pahāḌoñ se chal kar
ab aa.egā jaaḌā bhī barsāt pī ke
vo insāñ nahīñ taar jin ke badan par
magar phir bhī aa.e haiñ har raat pī ke
na thī tishnagī ke bujhāne kī sūrat
chhakīñ naddiyāñ shahr-o-dehāt pī ke
nayā fountain pen balā-nosh kitnā
ki har roz chaltā hai dāvāt pī ke
tawazun ko khoti hai har zat pi ke
wo ghunsa chale ya chale lat pi ke
KHiraman KHiraman pahaDon se chal kar
ab aaega jaDa bhi barsat pi ke
wo insan nahin tar jin ke badan par
magar phir bhi aae hain har raat pi ke
na thi tishnagi ke bujhane ki surat
chhakin naddiyan shahr-o-dehat pi ke
naya fountain pen bala-nosh kitna
ki har roz chalta hai dawat pi ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.