tazkire fahm o KHirad ke to yahan hote hain
tazkire fahm o ḳhirad ke to yahāñ hote haiñ
'aql kī had se magar aage gumāñ hote haiñ
chhoḌ jaate haiñ kahīñ paas tire apnā vajūd
ghar pahuñch kar bhī to ham ghar meñ kahāñ hote haiñ
ḳhvāb o ummīd, gumāñ, us kā tasavvur, chāhat
talḳhī-e-zīst meñ ye rāhat-e-jāñ hote haiñ
kis tarah arz-guzārī se unheñ rokā hai
aise jazbe ki jo chhupte na 'ayāñ hote haiñ
'ishq meñ tarz-e-takallum kī rivāyat hai 'ajab
kalma-e-ḳhās nigāhoñ se bayāñ hote haiñ
ḳhvāb jab jab hue zaḳhmī to hue sher na.e
varna ye mo.ajize har roz kahāñ hote haiñ
sirf pindār-e-ḳhirad hī to nahīñ shaġhl-e-hayāt
mātam-e-ilm-o-amal bhī to yahāñ hote haiñ
saḳhtī-e-hashr se hoñge na kisī taur bhī kam
un ke ham-rāh vo lamhe jo girāñ hote haiñ
ātish-e-dil hai yā phir sozish-e-jāñ hai, kyā hai?
ek ik kar ke sabhī ḳhvāb dhuāñ hote haiñ
nasl-e-nau ke haiñ na.e shuġhl, na.ī hī tahzīb
bazm-e-imroz meñ azkār-e-butāñ hote haiñ
aksar auqāt tabāhī kā sabab huuñ, lekin
kuchh havādis bhī magar vaj.h-e-amāñ hote haiñ
'umr bhar khul nahīñ paate haiñ rumūz-o-asrār
log kuchh sāmne rah kar bhī nihāñ hote haiñ
bārhā TuuT ke bhii, haiñ kahīñ maujūd abhī
valvale vo jo tire saath javāñ hote haiñ
ham ko to mil na sake, tum ko mile hoñge kahīñ
vo jo har haal meñ pāband-e-zabāñ hote haiñ
kyā kahā us ne, ye kyā kah ke pukārā 'ḳhālid'
aise kuchh jumle adā vaqt-e-azāñ hote haiñ
tazkire fahm o KHirad ke to yahan hote hain
'aql ki had se magar aage guman hote hain
chhoD jate hain kahin pas tere apna wajud
ghar pahunch kar bhi to hum ghar mein kahan hote hain
KHwab o ummid, guman, us ka tasawwur, chahat
talKHi-e-zist mein ye rahat-e-jaan hote hain
kis tarah arz-guzari se unhen roka hai
aise jazbe ki jo chhupte na 'ayan hote hain
'ishq mein tarz-e-takallum ki riwayat hai 'ajab
kalma-e-KHas nigahon se bayan hote hain
KHwab jab jab hue zaKHmi to hue sher nae
warna ye moajize har roz kahan hote hain
sirf pindar-e-KHirad hi to nahin shaghl-e-hayat
matam-e-ilm-o-amal bhi to yahan hote hain
saKHti-e-hashr se honge na kisi taur bhi kam
un ke ham-rah wo lamhe jo giran hote hain
aatish-e-dil hai ya phir sozish-e-jaan hai, kya hai?
ek ek kar ke sabhi KHwab dhuan hote hain
nasl-e-nau ke hain nae shughl, nai hi tahzib
bazm-e-imroz mein azkar-e-butan hote hain
aksar auqat tabahi ka sabab hun, lekin
kuchh hawadis bhi magar wajh-e-aman hote hain
'umr bhar khul nahin pate hain rumuz-o-asrar
log kuchh samne rah kar bhi nihan hote hain
barha TuT ke bhi, hain kahin maujud abhi
walwale wo jo tere sath jawan hote hain
hum ko to mil na sake, tum ko mile honge kahin
wo jo har haal mein paband-e-zaban hote hain
kya kaha us ne, ye kya kah ke pukara 'KHalid'
aise kuchh jumle ada waqt-e-azan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.