tegh apni jagah dar apni jagah
teġh apnī jagah daar apnī jagah
aur haqīqat kā iz.hār apnī jagah
ab khañDar hai khañDar hī kaho dosto
shīsh-mahloñ ke āsār apnī jagah
tuur par laakh muusā se ho guftugū
arsh-e-a.azam pe dīdār apnī jagah
avvalan haq ne taḳhlīq jis ko kiyā
sab ke ba.ad us kā iz.hār apnī jagah
muḳhtasar ye batā sar-ba-kaf kaun thā
jiit apnī jagah haar apnī jagah
bhaa.ī se bhaa.ī ke kuchh taqāze bhī haiñ
sahn ke beach kī dīvār apnī jagah
tegh apni jagah dar apni jagah
aur haqiqat ka izhaar apni jagah
ab khanDar hai khanDar hi kaho dosto
shish-mahlon ke aasar apni jagah
tur par lakh musa se ho guftugu
arsh-e-azam pe didar apni jagah
awwalan haq ne taKHliq jis ko kiya
sab ke baad us ka izhaar apni jagah
muKHtasar ye bata sar-ba-kaf kaun tha
jit apni jagah haar apni jagah
bhai se bhai ke kuchh taqaze bhi hain
sahn ke beach ki diwar apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.