tegh-e-barran nikalo sahab
teġh-e-barrān nikālo sāhab
dil ke armān nikālo sāhab
ghar se rakhte ho qadam kyuuñ bāhar
na mirī jaan nikālo sāhab
dekh rahne se ḳhafā ho to mirī
chashm-e-hairān nikālo sāhab
hai ye nāsūr-e-jigar kī battī
tum na paikān nikālo sāhab
rahne do ghar meñ na mujh par nāhaq
rakh ke bohtān nikālo sāhab
baar aġhyār ko ḳhalvat meñ na do
haiñ bad insān, nikālo sāhab
hai mirī tarah tumhārā kahīñ dhyān
dil se ye dhyān nikālo sāhab
gaalī nāhaq na kisī ke haq meñ
muñh se har aan nikālo sāhab
haa.e ye ranjish-e-bejā dil se
kisī unvān nikālo sāhab
sar-e-bāzār na baiThā karo tum
kuchh to ab shaan nikālo sāhab
garm-bāzārī kī ḳhātir sar-e-rāh
tum na dūkān nikālo sāhab
hasrat-e-vasl hai 'jur.at' ko kamāl
lo ye armān nikālo sāhab
tegh-e-barran nikalo sahab
dil ke arman nikalo sahab
ghar se rakhte ho qadam kyun bahar
na meri jaan nikalo sahab
dekh rahne se KHafa ho to meri
chashm-e-hairan nikalo sahab
hai ye nasur-e-jigar ki batti
tum na paikan nikalo sahab
rahne do ghar mein na mujh par nahaq
rakh ke bohtan nikalo sahab
bar aghyar ko KHalwat mein na do
hain bad insan, nikalo sahab
hai meri tarah tumhaara kahin dhyan
dil se ye dhyan nikalo sahab
gali nahaq na kisi ke haq mein
munh se har aan nikalo sahab
hae ye ranjish-e-beja dil se
kisi unwan nikalo sahab
sar-e-bazar na baiTha karo tum
kuchh to ab shan nikalo sahab
garm-bazari ki KHatir sar-e-rah
tum na dukan nikalo sahab
hasrat-e-wasl hai 'jurat' ko kamal
lo ye arman nikalo sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.