tegh khinche hue khaDa kya hai
teġh khīñche hue khaḌā kyā hai
pūchh mujh se mirī sazā kyā hai
zindagī is qadar kaThin kyuuñ hai
aadmī kī bhalā ḳhatā kyā hai
jism tū bhī hai jism maiñ bhī huuñ
ruuh ik vahm ke sivā kyā hai
aaj bhī kal kā muntazir huuñ maiñ
aaj ke roz meñ nayā kyā hai
aa.iye baiTh kar sharāb piyeñ
go ki is kā bhī fā.eda kyā hai
tegh khinche hue khaDa kya hai
puchh mujh se meri saza kya hai
zindagi is qadar kaThin kyun hai
aadmi ki bhala KHata kya hai
jism tu bhi hai jism main bhi hun
ruh ek wahm ke siwa kya hai
aaj bhi kal ka muntazir hun main
aaj ke roz mein naya kya hai
aaiye baiTh kar sharab piyen
go ki is ka bhi faeda kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.