tegh shamshir ya KHanjar ki zarurat kya hai
tegh shamshir ya KHanjar ki zarurat kya hai
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
teġh shamshīr yā ḳhanjar kī zarūrat kyā hai
jañg jab ḳhud se ho lashkar kī zarūrat kyā hai
jis ne samjhā mujhe bāhar se hī samjhā sāhab
kis ko ma.alūm ki andar kī zarūrat kyā hai
gar tirā qurb mayassar ho to ai jān-e-adā
sard rātoñ meñ bhī bistar kī zarūrat kyā hai
bevafā.ī kā tirī zaḳhm koī kam to nahīñ
choT denī ho to patthar kī zarūrat kyā hai
qaid rakhtā hai jo tūfān ko apne andar
aise qatre ko samundar kī zarūrat kyā hai
us ko sajda to zamīñ arsh sabhī karte haiñ
us ke qadmoñ ko mire sar kī zarūrat kyā hai
tegh shamshir ya KHanjar ki zarurat kya hai
jang jab KHud se ho lashkar ki zarurat kya hai
jis ne samjha mujhe bahar se hi samjha sahab
kis ko malum ki andar ki zarurat kya hai
gar tera qurb mayassar ho to ai jaan-e-ada
sard raaton mein bhi bistar ki zarurat kya hai
bewafai ka teri zaKHm koi kam to nahin
choT deni ho to patthar ki zarurat kya hai
qaid rakhta hai jo tufan ko apne andar
aise qatre ko samundar ki zarurat kya hai
us ko sajda to zamin arsh sabhi karte hain
us ke qadmon ko mere sar ki zarurat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.