tera apna hi qabila to hai taqat teri
terā apnā hī qabīla to hai tāqat terī
aur apne hī qabīle se baġhāvat terī
ek bas jurm-e-mohabbat hī huā hai ham se
ab sazā chāhe hameñ jo de adālat terī
Dhā ke armānoñ kā ghar kaun yahāñ pūchhtā hai
kitnī is ghar meñ batā aa.ī thī lāgat terī
pyaar kī dhuup kā mausam tirī āñkho se gayā
baḌh ga.ī ab mire ḳhurshīd tamāzat terī
lahlahāte haiñ mohabbat ke gulistāñ har sū
kitnī zarḳhez zamīñ hai mire bhārat terī
ḳhud hī bīmār kare ḳhud hī vo pūchhe 'vāsiq'
kaun sā rog hai kyoñ bigḌī hai hālat terī
tera apna hi qabila to hai taqat teri
aur apne hi qabile se baghawat teri
ek bas jurm-e-mohabbat hi hua hai hum se
ab saza chahe hamein jo de adalat teri
Dha ke armanon ka ghar kaun yahan puchhta hai
kitni is ghar mein bata aai thi lagat teri
pyar ki dhup ka mausam teri aankho se gaya
baDh gai ab mere KHurshid tamazat teri
lahlahate hain mohabbat ke gulistan har su
kitni zarKHez zamin hai mere bhaarat teri
KHud hi bimar kare KHud hi wo puchhe 'wasiq'
kaun sa rog hai kyon bigDi hai haalat teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.