tera dukh aur aanhken bharne wala main
terā dukh aur āñhkeñ bharne vaalā maiñ
terī ḳhātir sab kuchh karne vaalā maiñ
ḳhushbū ban kar jis meñ palne vaalā tū
ek zarā purvā.ī, bikharne vaalā maiñ
teḌhī-meḌhī raah banāne vaalā tū
kabhī na thakne roz guzarne vaalā maiñ
tanhā.ī meñ chhoḌ ke jaane vaalā tū
tanhā.ī se kabhī na Darne vaalā meñ
saat samundar paar bulāne vaalā tū
saat samundar paar utarne vaalā maiñ
lamha lamha roz sañvarne vaalā tū
lamha lamha lamha roz bikharne vaalā maiñ
merī shikāyat roz karāne vaalā tū
terī shikāyat roz mukarne vaalā maiñ
tera dukh aur aanhken bharne wala main
teri KHatir sab kuchh karne wala main
KHushbu ban kar jis mein palne wala tu
ek zara purwai, bikharne wala main
teDhi-meDhi rah banane wala tu
kabhi na thakne roz guzarne wala main
tanhai mein chhoD ke jaane wala tu
tanhai se kabhi na Darne wala mein
sat samundar par bulane wala tu
sat samundar par utarne wala main
lamha lamha roz sanwarne wala tu
lamha lamha lamha roz bikharne wala main
meri shikayat roz karane wala tu
teri shikayat roz mukarne wala main
- Book : karb-e-anaa (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.