tera firaq arsa-e-mehshar laga mujhe
terā firāq arsa-e-mehshar lagā mujhe
jab bhī ḳhayāl aayā baḌā Dar lagā mujhe
jab bhī kiyā irāda-e-tark-e-ta.alluqāt
kyā jaane kyoñ vo shoḳh hasīñ-tar lagā mujhe
parkhā to zulmatoñ ke sivā aur kuchh na thā
dekhā to ek nuur kā paikar lagā mujhe
ḳhud apnī zaat par bhī na rah jaa.e e'tibār
ai vaqt ho sake to vo nashtar lagā mujhe
kyā jaane kis jahān meñ baste haiñ narm-dil
maiñ ne jise chhuā vahī patthar lagā mujhe
ik martaba zarūr nazar phir se uTh ga.ī
jo qad bhī tere qad ke barābar lagā mujhe
qismat isī ko kahte haiñ phūloñ kī sej par
leTā jo maiñ to kāñToñ kā bistar lagā mujhe
us phuul kā kaleja milā ġham se paash paash
jo phuul dekhne meñ gul-e-tar lagā mujhe
dil hañs ke jhel jaa.e ye baat aur hai magar
charkā tirī nigāh kā aksar lagā mujhe
duniyā kā ye nizām ye me.ār-e-sīm-o-zar
kamtar lagā mujhe kabhī bad-tar lagā mujhe
un kī galī kī baat hī 'qādir' ajiib hai
har shaḳhs sher-fahm-o-suḳhnavar lagā mujhe
tera firaq arsa-e-mehshar laga mujhe
jab bhi KHayal aaya baDa Dar laga mujhe
jab bhi kiya irada-e-tark-e-talluqat
kya jaane kyon wo shoKH hasin-tar laga mujhe
parkha to zulmaton ke siwa aur kuchh na tha
dekha to ek nur ka paikar laga mujhe
KHud apni zat par bhi na rah jae e'tibar
ai waqt ho sake to wo nashtar laga mujhe
kya jaane kis jahan mein baste hain narm-dil
main ne jise chhua wahi patthar laga mujhe
ek martaba zarur nazar phir se uTh gai
jo qad bhi tere qad ke barabar laga mujhe
qismat isi ko kahte hain phulon ki sej par
leTa jo main to kanTon ka bistar laga mujhe
us phul ka kaleja mila gham se pash pash
jo phul dekhne mein gul-e-tar laga mujhe
dil hans ke jhel jae ye baat aur hai magar
charka teri nigah ka aksar laga mujhe
duniya ka ye nizam ye mear-e-sim-o-zar
kamtar laga mujhe kabhi bad-tar laga mujhe
un ki gali ki baat hi 'qadir' ajib hai
har shaKHs sher-fahm-o-suKHnawar laga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.