tera har raaz chhupae hue baiTha hai koi
terā har raaz chhupā.e hue baiThā hai koī
ḳhud ko dīvāna banā.e hue baiThā hai koī
sāqī-e-bazm ke maḳhsūs ishāroñ kī qasam
jaam hoñToñ se lagā.e hue baiThā hai koī
is numā.ish-gah-e-ālam meñ kamī hai ab tak
ashk āñkhoñ meñ chhupā.e hue baiThā hai koī
shab kī devī kā sukūt aur hī kuchh kahtā hai
phir bhī do sham.eñ jalā.e hue baiThā hai koī
merī ik ārzū-e-dīd kā e.ajāz na pūchh
muñh ko hāthoñ se chhupā.e hue baiThā hai koī
yaad bhī terī ik āzār-e-musalsal hai magar
apne siine se lagā.e hue baiThā hai koī
ham ko ma.alūm hai 'aḳhtar' ki hamārī ḳhātir
ek aalam ko bhulā.e hue baiThā hai koī
tera har raaz chhupae hue baiTha hai koi
KHud ko diwana banae hue baiTha hai koi
saqi-e-bazm ke maKHsus ishaaron ki qasam
jam honTon se lagae hue baiTha hai koi
is numaish-gah-e-alam mein kami hai ab tak
ashk aankhon mein chhupae hue baiTha hai koi
shab ki dewi ka sukut aur hi kuchh kahta hai
phir bhi do shamen jalae hue baiTha hai koi
meri ek aarzu-e-did ka eajaz na puchh
munh ko hathon se chhupae hue baiTha hai koi
yaad bhi teri ek aazar-e-musalsal hai magar
apne sine se lagae hue baiTha hai koi
hum ko malum hai 'aKHtar' ki hamari KHatir
ek aalam ko bhulae hue baiTha hai koi
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 25)
- Author : devendra issar
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.