tera har rang sitam ai shoala-ru achchha laga
terā har rang sitam ai sho.ala-rū achchhā lagā
jitne tū ne ġham diye utnā hī tū achchhā lagā
sirf itnā hī nahīñ vo māh-rū achchhā lagā
us kā lahja us kā tarz-e-guftugū achchhā lagā
merī jānib us ne dekhā is nigāh-e-ḳhās se
mujh ko apne rū-ba-rū ḳhālī subū achchhā lagā
barhamī kī aag meñ dil ko jalā dene ke baad
muskurā.ī jab vo chashm-e-jang-jū achchhā lagā
kar ga.ī us kī nigāh-e-avvalīñ qissa tamām
phir zamāne meñ na koī ḳhūb-rū achchhā lagā
us kī mahfil meñ huā jab kuchh hasīñ chehroñ kā zikr
aa.ina us vaqt us ke rū-ba-rū achchhā lagā
vasvase jaage the us ko dekh kar ḳhanjar-ba-kaf
jab vahī ḳhanjar huā zeb-e-gulū achchhā lagā
koī lamha zindagī kā dard se ḳhālī na thā
kaise kah detā jahān-e-rang-o-bū achchhā lagā
kitnī āsānī se ai 'shādāñ' qayāmat Tal ga.ī
us ko merā ahd-e-tark-e-ārzū achchhā lagā
tera har rang sitam ai shoala-ru achchha laga
jitne tu ne gham diye utna hi tu achchha laga
sirf itna hi nahin wo mah-ru achchha laga
us ka lahja us ka tarz-e-guftugu achchha laga
meri jaanib us ne dekha is nigah-e-KHas se
mujh ko apne ru-ba-ru KHali subu achchha laga
barhami ki aag mein dil ko jala dene ke baad
muskurai jab wo chashm-e-jang-ju achchha laga
kar gai us ki nigah-e-awwalin qissa tamam
phir zamane mein na koi KHub-ru achchha laga
us ki mahfil mein hua jab kuchh hasin chehron ka zikr
aaina us waqt us ke ru-ba-ru achchha laga
waswase jage the us ko dekh kar KHanjar-ba-kaf
jab wahi KHanjar hua zeb-e-gulu achchha laga
koi lamha zindagi ka dard se KHali na tha
kaise kah deta jahan-e-rang-o-bu achchha laga
kitni aasani se ai 'shadan' qayamat Tal gai
us ko mera ahd-e-tark-e-arzu achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.