tera hi main gada hun mera tu shah bas hai
terā hī maiñ gadā huuñ merā tū shaah bas hai
mujh shab kī raushnī kuuñ tujh ruḳh kā maah bas hai
surma se gard-e-mizhgāñ saf bāñdh ke biThī haiñ
shāh-e-nayan kuuñ terī yū qibla-gāh bas hai
dil kī shikastagī suuñ paayā huuñ bādshāhī
karne kuuñ sarvarī ke aisī kulāh bas hai
mahshar ke ḳhur kī tap siiñ kuchh Dar nahīñ haman kuuñ
zulf-e-siyah kā saaya dil kī panāh bas hai
do jā nahīñ hai jag meñ maujūd juz ḳhudā ke
is baat kī shahādat ik lā-ilāh bas hai
'yakrū' huā hai paanī sun 'ābrū' kā misra.a
''rakhne ko yūsufāñ ke ik dil kī chaah bas hai''
tera hi main gada hun mera tu shah bas hai
mujh shab ki raushni kun tujh ruKH ka mah bas hai
surma se gard-e-mizhgan saf bandh ke biThi hain
shah-e-nayan kun teri yu qibla-gah bas hai
dil ki shikastagi sun paya hun baadshahi
karne kun sarwari ke aisi kulah bas hai
mahshar ke KHur ki tap sin kuchh Dar nahin haman kun
zulf-e-siyah ka saya dil ki panah bas hai
do ja nahin hai jag mein maujud juz KHuda ke
is baat ki shahadat ek la-ilah bas hai
'yakru' hua hai pani sun 'abru' ka misra
rakhne ko yusufan ke ek dil ki chah bas hai
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.