tera hona nahin khula mujh par
terā honā nahīñ khulā mujh par
la.anteñ bhej ai ḳhudā mujh par
koī bhī Thiik se batātā nahīñ
kaisā guzrā hai sāneha mujh par
baaġh vīrāna hone lagtā hai
rañg khulte haiñ is tarah mujh par
in nigāhoñ ne sarsarī dekhā
aur ik sehr chhā gayā mujh par
ek lamhe ne mere apnoñ ko
hañste hañste rulā diyā mujh par
fuhsh baktā huuñ aaḌ meñ sach kī
thop doge ye tajziya mujh par
tera hona nahin khula mujh par
lanten bhej ai KHuda mujh par
koi bhi Thik se batata nahin
kaisa guzra hai saneha mujh par
bagh virana hone lagta hai
rang khulte hain is tarah mujh par
in nigahon ne sarsari dekha
aur ek sehr chha gaya mujh par
ek lamhe ne mere apnon ko
hanste hanste rula diya mujh par
fuhsh bakta hun aaD mein sach ki
thop doge ye tajziya mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.