tera KHayal teri tamanna tak aa gaya
terā ḳhayāl terī tamannā tak aa gayā
maiñ dil ko DhūñDhtā huā duniyā tak aa gayā
kyā itnā baḌh gayā mirī tishna-labī kā shor
sailāb dekhne mujhe sahrā tak aa gayā
lekin ḳhizāñ kī nazr kiyā āḳhirī gulāb
har-chand is meñ mujh ko pasīna tak aa gayā
aage rah-e-firāq meñ aanā hai aur kyā
āñkhoñ ke aage aaj añdherā tak aa gayā
kyā irtiqā-pazīr hai insān kā zamīr
rishtoñ ko chhoḌ-chhāḌ ke ashyā tak aa gayā
lekin kisī darīche se jhāñkā na koī raat
sun kar mirī pukār sitāra tak aa gayā
'kāshif'-husain yaar uTho ab to chal paḌo
chal kar tumhāre paañv meñ rasta tak aa gayā
tera KHayal teri tamanna tak aa gaya
main dil ko DhunDhta hua duniya tak aa gaya
kya itna baDh gaya meri tishna-labi ka shor
sailab dekhne mujhe sahra tak aa gaya
lekin KHizan ki nazr kiya aaKHiri gulab
har-chand is mein mujh ko pasina tak aa gaya
aage rah-e-firaq mein aana hai aur kya
aankhon ke aage aaj andhera tak aa gaya
kya irtiqa-pazir hai insan ka zamir
rishton ko chhoD-chhaD ke ashya tak aa gaya
lekin kisi dariche se jhanka na koi raat
sun kar meri pukar sitara tak aa gaya
'kashif'-husain yar uTho ab to chal paDo
chal kar tumhaare panw mein rasta tak aa gaya
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 78)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.