tera mera jhagDa kya jab ek aangan ki miTTi hai
terā merā jhagḌā kyā jab ik āñgan kī miTTī hai
apne badan ko dekh le chhū kar mere badan kī miTTī hai
ġhairoñ ne kuchh ḳhvāb dikhā kar niiñd churā lī āñkhoñ se
lorī de de haar ga.ī jo ghar āñgan kī miTTī hai
soch samajh kar tum ne jis ke sabhī gharauñde toḌ diye
apne saath jo khel rahā thā us bachpan kī miTTī hai
chal nafrat ko chhoḌ ke 'anjum' dil ke rishte joḌ ke 'anjum'
us miTTī kā qarz utāreñ apne vatan kī miTTī hai
tera mera jhagDa kya jab ek aangan ki miTTi hai
apne badan ko dekh le chhu kar mere badan ki miTTi hai
ghairon ne kuchh KHwab dikha kar nind chura li aankhon se
lori de de haar gai jo ghar aangan ki miTTi hai
soch samajh kar tum ne jis ke sabhi gharaunde toD diye
apne sath jo khel raha tha us bachpan ki miTTi hai
chal nafrat ko chhoD ke 'anjum' dil ke rishte joD ke 'anjum'
us miTTi ka qarz utaren apne watan ki miTTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.