tera naqsh-e-kaf-e-pa tha kya tha
terā naqsh-e-kaf-e-pā thā kyā thā
raah meñ phuul khilā thā kyā thā
kuchh na hone kā gumāñ thā phir bhī
kuchh to hone ko huā thā kyā thā
jhuuT thā jo bhī kiyā thā maiñ ne
aur jo tum ne kahā thā kyā thā
kyā thā hamrāh ḳhayāloñ kī tarah
saaya sā saath chalā thā kyā thā
husn ta.abīr ke ā.īne meñ
ḳhvāb kyā dekh rahā thā kyā thā
dil ki tanhā thā savād-e-ġham meñ
shahr yādoñ kā basā thā kyā thā
kyā thī vo dair-o-haram kī duniyā
jo bhī duniyā kā ḳhudā thā kyā thā
ham to be-nām the taslīm magar
aap kā naam baḌā thā kyā thā
tera naqsh-e-kaf-e-pa tha kya tha
rah mein phul khila tha kya tha
kuchh na hone ka guman tha phir bhi
kuchh to hone ko hua tha kya tha
jhuT tha jo bhi kiya tha main ne
aur jo tum ne kaha tha kya tha
kya tha hamrah KHayalon ki tarah
saya sa sath chala tha kya tha
husn tabir ke aaine mein
KHwab kya dekh raha tha kya tha
dil ki tanha tha sawad-e-gham mein
shahr yaadon ka basa tha kya tha
kya thi wo dair-o-haram ki duniya
jo bhi duniya ka KHuda tha kya tha
hum to be-nam the taslim magar
aap ka nam baDa tha kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.