tera qaul-o-qarar baqi hai
terā qaul-o-qarār baaqī hai
aur mirā intizār baaqī hai
ab bhī chāho to tum palaT aao
ab bhī thoḌī bahār baaqī hai
chāñd khiḌkī pe jab aa ke pūchh rahā
aur kitnā siñgār baaqī hai
aisā vīrānā kaise chhoḌeñ ham
ab bhī ujḌā dayār baaqī hai
dil diyā jaañ bhī dī magar phir bhī
aur thoḌā udhār baaqī hai
nabz maddham hai saañs hai Duubī
phir bhī ik e'tibār baaqī hai
tera qaul-o-qarar baqi hai
aur mera intizar baqi hai
ab bhi chaho to tum palaT aao
ab bhi thoDi bahaar baqi hai
chand khiDki pe jab aa ke puchh raha
aur kitna singar baqi hai
aisa virana kaise chhoDen hum
ab bhi ujDa dayar baqi hai
dil diya jaan bhi di magar phir bhi
aur thoDa udhaar baqi hai
nabz maddham hai sans hai Dubi
phir bhi ek e'tibar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.