tera ruKH-e-muKHattat quran hai hamara
terā ruḳh-e-muḳhattat qur.ān hai hamārā
bosa bhī leñ to kyā hai īmān hai hamārā
gar hai ye be-qarārī to rah chukā baġhal meñ
do roz dil hamārā mehmān hai hamārā
haiñ is ḳharāb dil se mash.hūr shahr-e-ḳhūbāñ
is saarī bastī meñ ghar vīrān hai hamārā
mushkil bahut hai ham sā phir koī haath aanā
yuuñ mārnā to pyāre āsān hai hamārā
idrīs o ḳhizr o iisā qātil se ham chhuḌā.e
un ḳhūñ-giraftagāñ par ehsān hai hamārā
ham ve haiñ sun rakho tum mar jaa.eñ ruk ke yakjā
kyā kūcha kūcha phirnā unvān hai hamārā
haiñ said-gah ke merī sayyād kyā na dhaḌke
kahte haiñ said jo hai be-jān hai hamārā
karte haiñ bāteñ kis kis hañgāme kī ye zāhid
dīvān-e-hashr goyā dīvān hai hamārā
ḳhurshīd-rū kā partav āñkhoñ meñ roz haigā
yaanī ki sharq-rūya dālān hai hamārā
māhiyyat-e-do-ālam khātī phire hai ġhote
yak qatra ḳhuun ye dil tūfān hai hamārā
naale meñ apne har shab aate haiñ ham bhī pinhāñ
ġhāfil tirī galī meñ mindān hai hamārā
kyā ḳhāndāñ kā apne tujh se kaheñ taqaddus
rūhul-qudus ik adnā darbān hai hamārā
kartā hai kaam vo dil jo aql meñ na aave
ghar kā mushīr kitnā nādān hai hamārā
jī jā na aah zālim terā hī to hai sab kuchh
kis muñh se phir kaheñ jī qurbān hai hamārā
banjar zamīn dil kī hai 'mīr' milk apnī
pur-dāġh siina mohr-e-farmān hai hamārā
tera ruKH-e-muKHattat quran hai hamara
bosa bhi len to kya hai iman hai hamara
gar hai ye be-qarari to rah chuka baghal mein
do roz dil hamara mehman hai hamara
hain is KHarab dil se mashhur shahr-e-KHuban
is sari basti mein ghar viran hai hamara
mushkil bahut hai hum sa phir koi hath aana
yun marna to pyare aasan hai hamara
idris o KHizr o isa qatil se hum chhuDae
un KHun-giraftagan par ehsan hai hamara
hum we hain sun rakho tum mar jaen ruk ke yakja
kya kucha kucha phirna unwan hai hamara
hain said-gah ke meri sayyaad kya na dhaDke
kahte hain said jo hai be-jaan hai hamara
karte hain baaten kis kis hangame ki ye zahid
diwan-e-hashr goya diwan hai hamara
KHurshid-ru ka partaw aankhon mein roz haiga
yani ki sharq-ruya dalan hai hamara
mahiyyat-e-do-alam khati phire hai ghote
yak qatra KHun ye dil tufan hai hamara
nale mein apne har shab aate hain hum bhi pinhan
ghafil teri gali mein mindan hai hamara
kya KHandan ka apne tujh se kahen taqaddus
ruhul-qudus ek adna darban hai hamara
karta hai kaam wo dil jo aql mein na aawe
ghar ka mushir kitna nadan hai hamara
ji ja na aah zalim tera hi to hai sab kuchh
kis munh se phir kahen ji qurban hai hamara
banjar zamin dil ki hai 'mir' milk apni
pur-dagh sina mohr-e-farman hai hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.