tera suluk mujhse hai aghyar ki tarah
terā sulūk mujh se hai aġhyār kī tarah
āñkhoñ meñ jo khaTaktā huuñ maiñ ḳhaar kī tarah
mub.ham har ek baat sanam kī lage mujhe
iqrār bhī lage mujhe inkār kī tarah
shatranj jaisī mujh ko lage hai ye zindagī
chalnā har ek chaal samajhdār kī tarah
shā'ir samajh ke tujh ko bulāyā thā bazm meñ
ġhazloñ ko yuuñ na gā tū gulu-kār kī tarah
hosh-o-havās gum haiñ jo us ke firāq meñ
ḳhud ko samajh rahā huuñ maiñ bīmār kī tarah
saa.il tumhāre dar pe jo aa.e kabhī zakī
us ko navāziye kisī dildār kī tarah
qaabū meñ rakh zabān ko apnī sadā 'zakī'
rishtoñ ko kāTtī hai ye talvār kī tarah
tera suluk mujh se hai aghyar ki tarah
aankhon mein jo khaTakta hun main KHar ki tarah
mubham har ek baat sanam ki lage mujhe
iqrar bhi lage mujhe inkar ki tarah
shatranj jaisi mujh ko lage hai ye zindagi
chalna har ek chaal samajhdar ki tarah
sha'ir samajh ke tujh ko bulaya tha bazm mein
ghazlon ko yun na ga tu gulu-kar ki tarah
hosh-o-hawas gum hain jo us ke firaq mein
KHud ko samajh raha hun main bimar ki tarah
sail tumhaare dar pe jo aae kabhi zaki
us ko nawaziye kisi dildar ki tarah
qabu mein rakh zaban ko apni sada 'zaki'
rishton ko kaTti hai ye talwar ki tarah
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 58)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.