tera suraj aaega
terā sūraj aa.egā
chhāñv uThā le jā.egā
tujh se koī ā.īna
kaise aañkh milā.egā
mere ghar kā ḳhālī-pan
tere naaz uThā.egā
palkoñ pe Thahrā aañsū
merī yaad dilā.egā
merī miTTī saath meñ rakh
phuul nahīñ murjhā.egā
hijr kisī bachche kī tarah
pīchhe pīchhe aa.egā
jaate jaate bolā vo
zaḳhm abhī bhar jā.egā
terī yādoñ ke pan se
zaḳhm kurede jā.egā
tera suraj aaega
chhanw uTha le jaega
tujh se koi aaina
kaise aankh milaega
mere ghar ka KHali-pan
tere naz uThaega
palkon pe Thahra aansu
meri yaad dilaega
meri miTTi sath mein rakh
phul nahin murjhaega
hijr kisi bachche ki tarah
pichhe pichhe aaega
jate jate bola wo
zaKHm abhi bhar jaega
teri yaadon ke pan se
zaKHm kurede jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.