tera wo karam teri jafa yaad hai ab tak
terā vo karam terī jafā yaad hai ab tak
sab kuchh mujhe ai jān-e-hayā yaad hai ab tak
aayā thā zabāñ par mirī kyoñ harf-e-tamannā
kyoñ ho gayā thā koī ḳhafā yaad hai ab tak
shānoñ pe mire vasl kī shab ḳhaas adā se
rahtī thī tirī zulf-e-rasā yaad hai ab tak
kahne pe mire aao mire paas to baiTho
vo un ke bigaḌne kī adā yaad hai ab tak
aa jaao agar tum to tumhīñ se kabhī pūchhūñ
kyā bhuul gayā huuñ mujhe kyā yaad hai ab tak
barsī thī jo paimāna uThāte hī hamāre
kyā tum ko bhī vo mast ghaTā yaad hai ab tak
rahtā thā mire haath meñ jo dast-e-hinā.ī
us haath kī ḳhushbū-e-hinā yaad hai ab tak
muddat huī us ko ki mirī ḳhalvat-e-shab meñ
paiġhām jo laa.ī thī sabā yaad hai ab tak
tā.īd meñ jis ke the dhaḌakte hue do dil
kyā tum ko vo paimān-e-vafā yaad hai ab tak
thā 'soz' sar-e-mai-kada jab koī ham-āġhosh
vo sohbat-e-rañgīñ ba-ḳhudā yaad hai ab tak
tera wo karam teri jafa yaad hai ab tak
sab kuchh mujhe ai jaan-e-haya yaad hai ab tak
aaya tha zaban par meri kyon harf-e-tamanna
kyon ho gaya tha koi KHafa yaad hai ab tak
shanon pe mere wasl ki shab KHas ada se
rahti thi teri zulf-e-rasa yaad hai ab tak
kahne pe mere aao mere pas to baiTho
wo un ke bigaDne ki ada yaad hai ab tak
aa jao agar tum to tumhin se kabhi puchhun
kya bhul gaya hun mujhe kya yaad hai ab tak
barsi thi jo paimana uThate hi hamare
kya tum ko bhi wo mast ghaTa yaad hai ab tak
rahta tha mere hath mein jo dast-e-hinai
us hath ki KHushbu-e-hina yaad hai ab tak
muddat hui us ko ki meri KHalwat-e-shab mein
paigham jo lai thi saba yaad hai ab tak
taid mein jis ke the dhaDakte hue do dil
kya tum ko wo paiman-e-wafa yaad hai ab tak
tha 'soz' sar-e-mai-kada jab koi ham-aghosh
wo sohbat-e-rangin ba-KHuda yaad hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.