tere aage sar-kashi dikhlaunga?
tere aage sar-kashī dikhlā.uñgā?
tū to jo kah de vahī ban jā.ūñgā
ai zabūrī phuul ai niile gulāb
mat ḳhafā ho maiñ dobāra ā.ūñgā
saat sadiyāñ saat rāteñ saat din
ik pahelī hai kise samjhā.ūñgā
yaar ho jaa.e sahī tujh se mujhe
tere qabze se tujhe chhuḌvā.ūñgā
tum bahut ma.asūm laḌkī ho tumheñ
nazm bhejūñgā duā pahnā.ūñgā
koī dariyā hai na jañgal aur na baaġh
maiñ yahāñ bilkul nahīñ rah pā.ūñgā
yaad karvā.u.gā tujh ko tere zaḳhm
terī saarī ne.amateñ ginvā.uñgā
chhoḌnā us ke liye mushkil na ho
mujh se mat kahnā maiñ ye kar jā.ūñgā
maiñ 'alī'-zaryūn huuñ kaafī hai ye
maiñ zafar-iqbāl kyuuñ ban jā.ūñgā
tere aage sar-kashi dikhlaunga?
tu to jo kah de wahi ban jaunga
ai zaburi phul ai nile gulab
mat KHafa ho main dobara aaunga
sat sadiyan sat raaten sat din
ek paheli hai kise samjhaunga
yar ho jae sahi tujh se mujhe
tere qabze se tujhe chhuDwaunga
tum bahut masum laDki ho tumhein
nazm bhejunga dua pahnaunga
koi dariya hai na jangal aur na bagh
main yahan bilkul nahin rah paunga
yaad karwauga tujh ko tere zaKHm
teri sari neamaten ginwaunga
chhoDna us ke liye mushkil na ho
mujh se mat kahna main ye kar jaunga
main 'ali'-zaryun hun kafi hai ye
main zafar-iqbaal kyun ban jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.