Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere aane ka guman hota hai

Ashraf Yousafi

tere aane ka guman hota hai

Ashraf Yousafi

tere aane gumāñ hotā hai

kis zamāne gumāñ hotā hai

sañg-rezoñ pe bhī ab chiḌiyoñ ko

daane daane gumāñ hotā hai

maiñ khañDar huuñ to jahāñ ko mujh meñ

ik ḳhazāne gumāñ hotā hai

ek tasvīr huuñ ġham jis par

muskurāne gumāñ hotā hai

peḌ kaTte haiñ to har tinke par

āshiyāne gumāñ hotā hai

dil kahāñ ab to kisī taa.ir ke

phaḌphaḌāne gumāñ hotā hai

us zamāne meñ nahīñ haiñ ham tum

jis zamāne gumāñ hotā hai

mai laraztī hai to duniyā tujh par

Dagmagāne gumāñ hotā hai

tere aane ka guman hota hai

kis zamane ka guman hota hai

sang-rezon pe bhi ab chiDiyon ko

dane dane ka guman hota hai

main khanDar hun to jahan ko mujh mein

ek KHazane ka guman hota hai

ek taswir hun gham ki jis par

muskurane ka guman hota hai

peD kaTte hain to har tinke par

aashiyane ka guman hota hai

dil kahan ab to kisi tair ke

phaDphaDane ka guman hota hai

us zamane mein nahin hain hum tum

jis zamane ka guman hota hai

mai larazti hai to duniya tujh par

Dagmagane ka guman hota hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now