tere andaz-e-takallum ka sahaara le kar
tere andaz-e-takallum ka sahaara le kar
Khaleel Husain Balooch
MORE BYKhaleel Husain Balooch
tere andāz-e-takallum kā sahārā le kar
jiit ā.eñge jahāñ shauq tumhārā le kar
qibla-e-ahl-e-junūñ merī riyāzat kā ajr
rāh-e-pur-ḳhār kā lauTā huuñ nazārā le kar
gor-kan dard kā marqad to banānā lekin
hijr-e-mahjūr tū pahlū se hamārā le kar
lauh-e-aflāk pe raushan hai hamārā chehra
ishq-e-pur-nūr kī izzat kā sitāra le kar
vo mire baad zamāne ko rulā kar bolā
dil-e-barbād kā aayā huuñ ḳhasāra le kar
shahr kā shahr sharāboñ se sivā bahkā hai
aap kī aañkh se halkā sā ishāra le kar
dard-e-dil-gīr kī shiddat kā nazārā karnā
sarsarī hijr manā lenā udhārā le kar
hijr-e-māshūq hai tūlānī to ab umr 'ḳhalīl'
hazrat-e-ḳhizr kī ā.ūñgā dobāra le kar
tere andaz-e-takallum ka sahaara le kar
jit aaenge jahan shauq tumhaara le kar
qibla-e-ahl-e-junun meri riyazat ka ajr
rah-e-pur-KHar ka lauTa hun nazara le kar
gor-kan dard ka marqad to banana lekin
hijr-e-mahjur tu pahlu se hamara le kar
lauh-e-aflak pe raushan hai hamara chehra
ishq-e-pur-nur ki izzat ka sitara le kar
wo mere baad zamane ko rula kar bola
dil-e-barbaad ka aaya hun KHasara le kar
shahr ka shahr sharabon se siwa bahka hai
aap ki aankh se halka sa ishaara le kar
dard-e-dil-gir ki shiddat ka nazara karna
sarsari hijr mana lena udhaara le kar
hijr-e-mashuq hai tulani to ab umr 'KHalil'
hazrat-e-KHizr ki aaunga dobara le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.