tere badan ki dhup se mahrum kab hua
tere badan kī dhuup se mahrūm kab huā
lekin ye isti.āra bhī manzūm kab huā
vāqif kahāñ the raat kī sargoshiyoñ se ham
bistar kī silvaToñ se bhī mālūm kab huā
shāḳh-e-badan se saare parinde to uḌ ga.e
sajda tire ḳhayāl kā maqsūm kab huā
sunsān jañgaloñ meñ hai maujūdgī kī lau
lekin vo ek rāsta mādūm kab huā
nisbat mujhe kahāñ rahī asr-e-zavāl se
merā vajūd saltanat-e-rūm kab huā
tere badan ki dhup se mahrum kab hua
lekin ye istiara bhi manzum kab hua
waqif kahan the raat ki sargoshiyon se hum
bistar ki silwaTon se bhi malum kab hua
shaKH-e-badan se sare parinde to uD gae
sajda tere KHayal ka maqsum kab hua
sunsan jangalon mein hai maujudgi ki lau
lekin wo ek rasta madum kab hua
nisbat mujhe kahan rahi asr-e-zawal se
mera wajud saltanat-e-rum kab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.