tere baghair jine ka yara nahin raha
tere baġhair jiine kā yaarā nahīñ rahā
lekin kareñ bhī kyā koī chāra nahīñ rahā
sāñseñ bhī terī hone lagīñ dil ke saath saath
ab zindagī pe apnā ijāra nahīñ rahā
auroñ pe iḳhtiyār jatāne se fā.eda
jab ḳhud pe iḳhtiyār hamārā nahīñ rahā
aish-o-nishāt kī koī tauqīr hī nahīñ
jab zindagī meñ ġham kā sharāra nahīñ rahā
‘maqbūl’ mujh ko apnī ḳhudī par hai faḳhr-o-nāz
kyā ġham agarche koī sahārā nahīñ rahā
tere baghair jine ka yara nahin raha
lekin karen bhi kya koi chaara nahin raha
sansen bhi teri hone lagin dil ke sath sath
ab zindagi pe apna ijara nahin raha
auron pe iKHtiyar jatane se faeda
jab KHud pe iKHtiyar hamara nahin raha
aish-o-nishat ki koi tauqir hi nahin
jab zindagi mein gham ka sharara nahin raha
‘maqbul’ mujh ko apni KHudi par hai faKHr-o-naz
kya gham agarche koi sahaara nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.