tere be-rabt bayanat se KHauf aata hai
tere be-rabt bayānāt se ḳhauf aatā hai
mujh ko ab shahr ke hālāt se ḳhauf aatā hai
avval avval maiñ samajhtā thā masīhā tujh ko
munsifā ab tirī har baat se ḳhauf aatā hai
ham junūñ-ḳhez mizājoñ ko nahīñ tāb-e-shu.ūr
vā.iz-e-shahr ke ḳhutbāt se ḳhauf aatā hai
haañ mujhe gosha-nashīnī se bahut ulfat thī
ab magar shorish-e-jazbāt se ḳhauf aatā hai
pahle suntā thā baḌe shauq se afsāna mirā
ab use merī hikāyāt se ḳhauf aatā hai
merī āñkhoñ meñ talātum tirī āñkhoñ meñ sukūn
bas mujhe aise tazādāt se ḳhauf aatā hai
tere be-rabt bayanat se KHauf aata hai
mujh ko ab shahr ke haalat se KHauf aata hai
awwal awwal main samajhta tha masiha tujh ko
munsifa ab teri har baat se KHauf aata hai
hum junun-KHez mizajon ko nahin tab-e-shuur
waiz-e-shahr ke KHutbaat se KHauf aata hai
han mujhe gosha-nashini se bahut ulfat thi
ab magar shorish-e-jazbaat se KHauf aata hai
pahle sunta tha baDe shauq se afsana mera
ab use meri hikayat se KHauf aata hai
meri aankhon mein talatum teri aankhon mein sukun
bas mujhe aise tazadat se KHauf aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.